Lights se aag kyun lagti hai
Jyadatar mamlon mein wajah hoti hai overload, kati wire, dheeli connection ya ek hi socket par bahut saari lights. Jab wire garam hoti hai to insulation pighal sakta hai aur chingari ke saath aag lag sakti hai.
8 safe tareeke
- Lights khareedte waqt achhi quality aur ISI marked wire/adapter dekhein.
- Lagane se pehle poori string check karein; kati, jali ya dheeli wire fenk dein.
- Ek socket par bahut saari lights na jodein; extension board ki capacity se zyada load na daalein.
- Lights ko parde, kaagaz ke jhalar ya plastic ke decoration se chipka kar na rakhein.
- Bahar balcony mein lights lagayein to wire ko baarish/pani se bachayein.
- Jab ghar khaali ho ya sone jaayein to lights band kar dein.
- Tape se jodh kar wire na badhayein.
- Wire garam ya jalne ki smell aaye to turant plug nikaal dein.
Agar short-circuit se aag lag jaye
Pehle main switch band karein. Fir electrical aag ke liye suitable extinguisher (jaise ABC dry powder ya CO2) use karein. Kabhi bhi paani electrical aag par na daalein. Aag badh rahi ho to ghar khali karein aur 101 ya 112 par call karein.
Ghar mein ek extinguisher zaroor rakhein
Drawing room ya passage mein ek chhota extinguisher rakhna aise samay mein kaam aata hai. Pressure gauge green mein ho aur extinguisher ko dikhne wali jagah par rakhein. Kaunsa size theek rahega ye ghar ke size par depend karta hai.
Aap Yeh Bhi Dekh Sakte Hain
Apni requirement batayein, free quote paayein: WhatsApp par message karein ya call karein +91 92500-77077.
Fire Safety Equipment की ज़रूरत है?
Delhi NCR में ISI certified extinguishers — same day delivery, 21+ years experience